Yaadein kuch aisi, jo malhaar se rang kar, aansoo on mein beh gayeen..
Yaadein kuch aisi, jo hansee ki chadar od, fiza mehkakar chali gayeen..
Woh hi yaadein, mere bheetar, hain dubak kar siskiyaan le rheen..
Woh nagme, woh baatein, woh kisse wahin reh gaye,
Os ki boond ki tarah bhaap ban kar kuchh keh gye..
Aate hain woh yaad bahut, par zindagi ki bhaag daud mein kahin gum se reh gye..
Wohi yaadein main daal se tod lena chaahta hoon,
Gale se lagaakar pakad lena chahta hoon..
No comments:
Post a Comment